Zaraa Dil Ko Thaam Lo Lyrics (OST Don 2)

Zaraa Dil Ko Thaam Lo Lyrics

dilkashi aur dilbari
uski hai jadugari
dilkashi aur dilbari
uski hai jadugari
jiski aankhein hain taare
hairan jispar hain saare
ae dil yeh sach hai kya
aaj woh hai kya…aa hi gaya
zaraa dil ko thaam lo, naam lo
keh bhi do hai kaun
aa gaya, aa gaya, laut ke dekho don
jo na samjha koi main wohi raaz hoon
jo na samjha koi main wohi raaz hoon
jo kissi ka nahin hai woh andaaz hoon
main samandar se gehra,
main kahin kab hoon thehra
main hoon jaise dhuaan,
yeh dhuaan kahin hai rukta kahan
zaraa dil ko thaam lo, naam lo
keh bhi do hai kaun
aa gaya, aa gaya, laut ke dekho don
tu nahin hai dhuaan ek
shola hai tu meri jaan
paas tere magar aaoongi
tujh mein hi jal ke mar jaoongi
mujhko chaha to paaogi kya
main kahan jaoon kal, mera kya hai pata
zaraa dil ko thaam lo, naam lo
keh bhi do hai kaun
aa gaya, aa gaya, laut ke dekho don
dekho don

Disclaimer

All lyrics are property and copyright of their owners. All lyrics provided for educational purposes only.

Counter